Hello Doston Kya Aapka Koi Hindi Yaa English Blog Hai? Kya Aapne Abhi Abhi Aapne Blogging Ki Duniya Me Kadam Rakha Hai To Aapko Seo Ki Ahamiyat Pata Hee Hogi Kyonki Seo Aapki Website Ko Google Ke First Page Me Index Karne Me Madad Kartaa Hai. Esliye Aaj Ke Es Article Me Hum Seo Kya Hai? Seo Kaise Karte Hain Es Topic Par Vistaar Se Jaanenge! Doston Yadi Hum Baat Karen Internet Par Blogs Ki To Rojana Hazaro Blogs Hindi Aur Angreji Bhasha Men Bante Hain!
Ab Es Condition Me Itni Saari Website Ke Beech Men Yadi Aapko Search Engine Ke Pahle Page Par Apni Post Ko Index Karna Hai To Aapko Eske Liye Seo Ki Madad Leni Padti Hai Kayi Saare Safal Blogger Seo Ki Technique Ko Apnate Hain Aur Unkaa Estemaal Kar Apne Blog Main Hazaro Users Ko Laate Hain Jisse Organic Traffic Badhtaa Hai!
Table of Contents
SEO Kya Hai ?
SEO Ki Full Form Search Engine Optimization Hoti Hai. Site Ka SEO Karne Se Aapki Site Ka Organic Traffic Aur Authority Dono Badhti Hai! Organic Matlab Search Engine Se Aane Wale Visitors. Traffic Paane Ke Liye Seo Behad Jaruri Hota Hai. Aur Aap Jaante Hee Honge Organic Traffic Se Hee Aapke Blog Me Adhik Traffic Aata Hai. Dosto Aap Google Par Jab Koi Keyword Search Karte Hain! To Us Keyword Se Related Top Web Pages Ke Links Aapko Result Me Dikhayi Dete Hain! Ab Jis Website Ka Link First Page Par Aaya Hai Us Website Ne Seo Technique Ka Istemal Behad Acche Tarike Se Kiya Hai..
Esliye Dosto Traffic Pana Hee Ek Blogger Ka Maksad Hota Hai Taaki Uske Blog Me Di Gyi Janakari Adhik Se Adhik Logo Tk Pahuch Sake..! Esliye Yadi Aap Chahte Hain Ki Jab Koi Aapke Post Se Related Koi User Keyword Type Kare Aur Aapka Result Sabse Upar Aaye To Yadi Aapko Organic Traffic Badhana Hai To Mtlb Seo To Krna Hee Hoga.
Dosto Ek Baar Aapki Website Post Google Ke First Page Pr Index Hoti Hai Aur Dher Saare User Aapki Site Pr Aate Hain To Aapko Ptaa Hee Hoga Jitna Jyada Traffic Mtlb Utni Income Hai Na?
Ab Hum Jaan Lete Hai! Ki Seo Kitne Type Ke Hote Hai? Aur Seo Kaise Kaam Karta Hain Dosto Seo Mainoly 2 Type Ke Hote Hain Lekin Esme Vaise Teen Chize Aati Hain!
-
On Page SEO
-
Off Page SEO
-
Keyword Research
On Page SEO Ka Kaam Aapke Blog Ke Andar Hota Hai! Mtlb Aapki Website Ki Theme , Usme Acche Contents Jinki Lengh Thik Honi Chahiye Eske Sath Hee Apni Post Me Keywords Ka Sahi Tarike Se Istemal Karna Keyword Ko Title,meta Description Me Sahi Tarah Se Use Karna. Aur Page Me H1,h2 Ka Istemal Karna.
Dosto Title Behad Jaruri Hai! Jo Attractive Hona Chahiye Jisme Keywords Bhi Ho Aur Jise Dekhne Ke Baad User Us Par Click Kare Esliye Title Me Call To Action Button Ka Istemal Kare Jaise Jaaniye!, Seekhiye, Padhe Aadi Hindi Bhasha Me Call To Action Button Hote Hain Aap Enn Chizo Se Apni Post Me On Page Seo Kar Sakte Hain!
- Website Speed Acchi Honi Chahiye!
- Website Me User Friendly Navigation
- Post URL Keyword Sahit Short & simple Ho
- Internal Link Ho Post Me
- h1,h2,h3 Ka Upyog Jarur Kare
Off Page SEO Aapki Website Ko Off Page seo Ek Majbooti Deta Hai. Off Page Seo Me Saara Kaam Aapke Blog Se Baahar Ka Hota Hai. Esme Blog Commenting, Link Submission Aadi Chize Aati Hain. Aur Badi Site Se Do Follow Link Lena Aapki Site Ki Authority Ko Badhata Hai Aur Google Aapki Site Ki Ranking Me Bhi Sudhaar Lata Hai!
Off Page Seo Kaise Kare ?
1. Social Media Platforms Par Apni Site Ke Pages Aur Profile Banana Ttha Unka Promotion Karna Taaki Jyada Se Jyada Log Aapke Blog Ke Baare Me Jaan Sake Jisse Aapke Blog Ka Traffic Badhega!
2. Apni Website Ko Search Engine Me Acchi Tarah Submit Karna Behad Jaruri Hai!
3. Bookmarking Site Par Apni Website Ko Bookmarking Site Me Submit Karna!
4. Apne Blog Se Related Dusre Blogs Ki Post Me Comment Kre Aur Website Ka Link Laga Skte Hain! Jisse Blog Commenting Bhi Kaha Jata Hai!
5. Aap Apne Blog Se Related Doosre Blog Me Guest Post Kar Sakte Hain! Jisse Aapko Ek Badi Site Se Do Follow Link Milega Jisse Aapki Site Ki Authority Badh Jayegi Aur Search Engine Aaapki Ranking Ko Improve Krega Jisse Traffic Badhne Me Madad Milegi..
Keyword Research ?
Dosto Post Likhne Se Pahle Keyword Research Karna Behad Jaruri Hai. Bina Keyword Research Kiye Yadi Aap Post Karte Hain! To Shayad Aapki Post Ko Koi User Na Padhe Kyonki Kya Pta Us Title Ke Keyword Ko Koi User Search Engine Me Type Hee Na Kare To Aapki Saari Mehnat Bekar Jayegi Esliye Aap Jis Keywords Par Likhne Ja Rhe Hain! Jaise “Online Paise Kaise Kamaye!” Pahle Ess Keyword Ke Baare Research Kijiye Ki Yah Keyword Log Search Karte Bhi Hain Ya Nahi Yadi Log Search Hee Nahi Karenge To Organic Traffic Aayega Hee Nahi.
To Dosto Aaj Ki Ess Post Me Aapne Jaana Ki Seo Kya Hota Hai Yah Kyo Jaruri Hai? Aur Aap Seo Kaise Karte Hai? Dost Yadi Aapko On Page, Off Page Seo Ya Keyword Research Se Related Mtlb Seo Se Related Kisi Topic Ki Poori Jaankari Chahiye To Aap Hume Comment Me Bta Skte Hain Hum Jald Hee Ess Topic Pr Aapke Liye Ek Article Taiyar Karenge!
Read More:- Blogger VS WordPress Dono Me Se Konsa Acha Hai ?
Dosto Yadi Aapko Yah Janakari Faydemand Lagi Hai! To Aap Ise Social Media Me Share Jarur Kare Taaki Doosre Internet Users Ko Bhi Yah Jaankari Mil Sake!