Blogger VS WordPress Konsa Better Hai Dono Me Se In Hindi ?

0
1221
Blogger VS WordPress Konsa Better Hai
Blogger VS WordPress Konsa Better Hai

Dosto Yadi Aap Blogging Me Apna Future dekh the hain to aapko blogging ke do popular platform (Blogger VS WordPress) ke baare me pta hee hoga. lekin yadi aap new blogger hain ya aapne nya blog banana shuru kiya hai to Aaj ka yah article Aapke liye behad importent hone wala hai. Kyunki aaj k ess article me Mai aapko saral shabdo me bataunga ki wordpress aur blogger me se aapke liye koun sa best hoga!

Dosto Kyunki ek taraf blogger hai jo ki google ka product hai jisme hum free me apna blog taiyar kar sakte hain vahi dusri taraf wordpress hai jisme hum apna hosting aur domain kharidakar blog taiyar kar sakte hain. Aaj ke samay me blogger aur wordpress dono best blogging platform hai jis wajah se adhikatar users blogging ke liye in dono hee platform ka istemal karte hain!

Dosto aksar naye blogger dusre ke blog ko dekhkar khud ke blog ke liye wordpress ya blogger platform chun lete hain. lekin asal me pta nahi hota ki aakhir In dono ke beech kya difference hota hai?

Aur humare liye koun sa blogging platform best hoga aaj hum In dono me difference ko vistarapoorvak janenge  isliye Article Ko Pura jarur padhen!

 1   Wordpress Ke Fayde

1. WordPress ek content management system seva prdan krta hai jiska matlb hai aap bina coding ke bhi aap wordpress par website bana sakte hain!

2. Wordprsss ek beginner-friendly platform hai jiska estemal karna aur ese seekhna behad aasan hai!

3. WordPress me hazaron plugins tatha themes maujood hai jinka estemal kar aap apni marji anusar site ke look tatha features ko customize kar sakte hai!

4. Yadi aapko html,css jaisi programming bhasha aati hai to aap coading ki madad se custom code add kar sakte hai tatha post ya article ko sundar bana sakte hai!

5. WordPress blog me aap apne budget anusar kisi bhi hosting company ki hosting le sakte hai!

 2   Wordpress Ki Kamiya

1. kyoki ek professional blog banane ke liye paid hosting tatha domain ki jarurat hoti hai esliye wordpress par ek accha blog banane ke liye aapke pass paiso ki avshykta hoti hai!

2. WordPress par aapko customization ke anek option milte hain! parntu jara si galat coding ki problem se site band ho sakti hai! esliye site ki speed,security tatha performance ke jimmedar aap hote hain!

 3   Blogger Ke Fayde

1. Blogger par aap muft me apna blog bana sakte hai! ttha blogspot me subdomain ke baawjood aap adsense ke liye apply kar earning kar sakte hai! Aur aap muft me blogger par muft me accha blog taiyar kar sakte hai!

2. Blogger par blog banana behad aasan hai aap kuch hi steps me blogger par blog bana sakte hain!

3. Aapko hosting kharidne ki koi avshykta nahi hoti!

 4   Blogger Ki kamiya

1. Blogger me wordpress ki tulna me behad kam features maujood hain! blogger par aap saandar blog tatha post publish kar sakte hain!

2. Blogger par customization feature seemit hote hai. kyonki blog ka appearance tatha feature limited hote hai!

3. Aapke conten t& post par aapka adhikar nahi hain kyonki aapka blog google’s server se control hota hai!

WordPress VS Blogger Konsa Platform Best Hai ?

Dosto yadi hum wordpress aur blogger ki tulna kare to ve log jo apna blog banana chahte hain! ve blogger par behad kam samay me ek blog create kar sakte hain! tatha apako yadi blog par keval article ya post ke jariye logo ko jankari pahuchani hai! to aapke liye blogger best ho sakta hai! yadi aapke pass budget nahi hai to aap blogger ko choose kar sakte hain! kyonki yhan blogging ke liye apko hosting ya kisi technical issue ki jimmedari lene ki avshykta nahi hoti..

Dusri or yadi aapke pass thoda budget hai! aur aap apne Blog ki theme,SEO tatha website content ko shandar banane ke sath hee professional banana hai! to wordpress aapke liye best sabit ho Sakta Hai kyonki adhiktar bade-bde hindi aur english bloggers wordpress ka estemal kar apne blog ko marji ke mutabik control karte hain!

Read Post:- Website Ke Liye SEO Kaise Kare ?

Dosto ummed hai ab aap samjh gye honge ki wordpress vs blogger me se aapke liye koun blogging platform behtar hai, ummed hai aapko yah jankari pasand aayi hogi. ess janakri ko un sabhi nye boggers ke sath share karna na bhoolen jo blogging me apna career banana chahte hain! Jai Hind Jai Bharat…

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here