Cyber Crime Kya Hai – साइबर क्राइम से कैसे बचें ?

0
611
Cyber Crime Kya Hai
Cyber Crime Kya Hai - साइबर क्राइम से कैसे बचें ?

Aaj internet ke Is yug me aaye din naye social apps aur softwares launch kiye ja rahe hain jiski madad se hmare kaam teji se aur aasani se kiya ja sakte hai. (Cyber Crime Kya Hai) lekin dekha jaye to internet ek taraf sabhi logo ke liye vardan bana hai to doosri taraf aaj kayi log Internet logo ke liye khataranak saabit hua hai!

Ab yadi aap soch rhe hain ki aakhir mai internet ko danger kyu kah rha hoo! vo esliye kyunki aaj internet ne naye crime ko janam diya hai jiska naam hai! Cyber Crime क्या है साइबर अपराध से कैसे बचें !

Aur aaj ke ess article me hum aapko cyber crime ke baare me btayenge! jisme aap janenge ki cyber crime kya hai! aur cyber crime se aap kaise bach sakte hain! chaliye sabse pahle hum jante hain ki!

Cyber Crime kya hota Hai ?

Saral Shabdo Me kahe to Computer aur Network ki Shayta se kiya jane wala Crime “Cyber Crime” ke Naam se jana jata hai matlb jis apradh (crime) me computer ka Istemaal hota hai vah cyber crime ki category me aata hai. Cyber crime me kisi Person ki niji jankari ko churana, uska galat istemal karna aur jankari ko kisi dusre Person ke sath share krna, kisi vykti ke computer ko hack karna etc yah sab cyber crime me gina jata hai!

Vartman samay me anek desho ki sarkare cyber crime ko lekar kaafi shakt hai jiske liye unhone kade kanun banaye hain. Bharat me cyber crime ke mamlo ke antargat suchana taknik kanoon 2000 aur taknik sanshodhan kanoon 2008 Se lagoo kiye gye hain. eske sath hee Cyber crime category me aane wale apradho ke liye any bhartiya dand sahita,company kaanun jaise pravdhano ke tahat bhi apradhi ko saza di ja sakti hai!

Cyber Crime ke liye kin-kin tools ka istemal kiya ja sakta hai ?

Email Spamming:- Ise junk email ke naam 00 in bhi jana jata hai. spam message se matlab un message se hai jab unnecessary message baar baar repeat hote hai. Email spamming me Saikdon, hazaron ki sankhya me aavanchit (faltu) message bheje jate hain!

Dosto Email spamming khatarnak esliye hai kyonki jyadatar spam email commercial hote hain. Aur yah message na sirf annoying hote hain balki dangerous bhi hote hain kyonki enn email messages me links bhi diye hote hain jinp par click krne ke baad yah kisi phishing website ya phir Malware site par user ko le jate hain. jisse user ke personal data ke sath hee aur jankari collect krna ka mauka mil jaa hai!

Spammers user ke email address ko chat rooms,web sites, customer list aadi jagah se email address ko Prapat karte hain. Aur kayi baar spammers collect kiye emails ko galat logo ko sell kar dete hain.

Malicious Program:- kaHi baar internet istemal karte huye hum kisi website pr available unsecure software ko install kr lete hain jo ki ek malware hota hai. Aur ek baar Malicious program computer me install ho jata hai to hackers aapke computer me aapki personal details aasani se chura sakte hain!

Hacking:- Yah ek popular tarika hai jisse cyber crime ko anjam diya jata hai kyonki ek baar hacker aapke computer, website ya bank account ki jankari mtlb aapki kisi bhi on-line identity ko hack kar lete hain to uske baad aapki suraksha khatre me pad sakti hai!

Phishing:- Is tarike ka istemal kar koi bhi vykti aapse jhut bolkar aapki information collect kar sakta hai. isme adhikatar bad link ka istemal kiya jata hai. example ke liye yadi koi hacker phishing website se ek link copy krta hai! aur us link me apne dosto se ya kisi bhi person ko click kr kisi website ko login karne ya koi aur task karne ko kahta hai! Ab jaise hee koi vykti us link par click kr us task ko poora karta hai! Us vykti ki niji jaankari hacker k pass chali jati jati hai kyonki yah link dekhne me aur enn par click krne se aksar anek log dhoka kha jate hain!

Facebook id hack karne me phishing ka kaafi adhik upyog hota hai. kyonki hacker kisi person ko galat jankari dekar link send karte hain aur use open karne ko kahta hai ki ess link pr fb id login karo aapko 50₹ milenge. ab jaise hee koi user us  website par jakar facebook id login karta hai to uski id ka username aur password hacker ke pass uplabdh phishing website account me aa jata hai!

Note: Isliye kabhi bhi kisi unsecure link par click kar apni niji jankari Ko enter na kare !

Cyber Crime Se Bachne Ke Upay ?

  1. Net banking ka istemal karte hain to kisi bhi vykti ko bina kisi reason ke banking se judi niji jankari share na kare!
  2. Aur kisi bhi fake website ya aisi kisi website jiske Url par apni jankari enter na kare jo secure na ho!
  3. Apni Personal details jaise facebook ya banking se related account ki jankari computer par save na kare kyonki kabhi bhi vah computer kisi galat vykti ke haatho par ja skta hai!
  4. Pharazi call se savadhan rahe yadi koi vykti kisi Bank karmachari bankar matlab jhut bolkar phone pr aapse aadhar number, Atm card ki jankari maangta hai to kabhi bhi apne account ki details na den!
  5. kisi Dusre ke computer, Mobile device me social site ka istemal karne ke baad use logout jarur kare!
  6. Kisi bhi sources ko pahchane bina whatsapp, facebook par aaye links or attachments par click na kare!
  7. Sarvjanik computer se online banking na kare! yah aapke liye nuksaan dayak ho sakta hai!

Email:- Par kisi unknown company ya person dwara bheje gye mail ki poori jankari liye bina usme maujood links par click na kare kyonki email spammers ka maksad user se kisi bhi tarah unke galat karyo ko anjaam dena hota hai!

Pornography:- Se bache kyonki kayi bar inn website par diye link se click krne par aapke device me malware ya virus aane ki sambhavnaye badh jati hai. jo aapke liye khatarnak sabit ho sakta hai!

Dosto umeed hai ab aap samajh gye honge ki cyber crime kya hai Aur Kaise Bache? Cyber Crime kaise kiya jata hai aur aap kis tarah cyber crime se khud ko bacha sakte hain. umeed hai yah jaankari pasand aayi hogi! jankari upyogi lagi to apne dosto, rishtedaro ke sath share kar un tak jarur Pahuchaye!

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here